Bewafai
Shayari
PAGE=1
Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi
By : Gagan
Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi
Mehfil Me Jo Tanha Kar Jaye Wo Yaad
Hamari Hogi
Jab Kabhi Bhi Sochogi Hamare Pyar Ko To
Har Taraf Khushiyan
Hongi Lekin Kami Hamari Hogi
Ek Sapna Tha Ghar Basane Ka
By : Gagan
Ek Sapna Tha Ghar Basane Ka
Unke Saath Zindagi Bitane Ka
Toot Gaye
Zindagi Ke Sab Sapne
Dil Karta Hai Ab Akele Hi Zindagi Bitane ka
Bas Ye Gunah Karti Hain
By : Gagan
Dil Ki Baate Dil Hi Jaane
Phir Bhi Dil Ye Rota Hai
Aankhon Ki Baate
Aankhe Hi Jaane
Par Tadpna Dil Ko Hota Hai
Iss Dil Aur Aankhon Ka
Koi
Kasoor Nahi Yaaron
Bas Ye Gunah Karati Hain
Aur Tadpana Dil Ko Hata
Hai
Tumhe Dil Mein Basaya
By :Gagan
Tumhe Dil Mein Basaaya Dhadkan Ki Tarah
Aankho Mein Basaaya Kajal Ki
Tarah
Tumhe Khud Se Jyada Pyar Kiya Maine
Par Tum Mujhe Bhul Gayi Sapno Ki
Tarah
Ab Zindgi Mujhe
By : Gagan
Hadh Se Jyada Teri Yaad Aane Lagi
Ab Zindgi Mujhpe Taras Khane
Lagi
Dhire Dhire Ab Meri Saans Jaane Lagi
Jab Wo Mujhe Chhod Ke Jaane
Lagi
Aansu Bhi To
By : Gagan
Hoti Nahi Thi Itni Khushi Unke Aane Ke Baad
Dard Hota Hai Jitna Unke Chale
Jaane Ke Baad
Mita Diya Unhone Saath Bitaye Saare Lamho Ko
Aansu Bhi To Ab
Nikalte Nahi Sukh Jaane Ke Baad
Zindagi Ke Pyar Me
By : Gagan
zindagi ke pyar me zindagi bhula di ye
zinhe zindagi samjhe wo zindagi
ujaad gaye
zi lete nafraton ke sahare nafraten bhi na mili
Bewafa ashq ye
ashq bhi bache nahi
Maafi
By :Gagan
Wafa na kar saka tumse mujhe maaf karna
Khuda ne toh saza mein likh diya
hai ab ghut ghut ke marna
Wafa
By : Gagan
Wafa ka mara hu ashiq
Dar Dar ki thokar khata hu
Acha hua ki ruksat
leli duniya se
Teri Bewafai se Pehle
Tu
By : Gagan (Views : 514)
Tu meri zindagi, se chali jaaegi
Tu mujhe phir bhi, bahut yaad aaegi
Ye
wada hai mera tujhse, O Bewafa
Tu Saari umar mere liye pachtaaegi
Khoya Aitbar
By : Gagan
Aansoo ke thamne ke ab nahi hai koi aasar
Dhadkan ke rukne ka ab toh hai
bas intezar
Ab toh rab se milne ko hum hai taiiyar
Jab se dil ne khoya hai
aap pe aitbar
Agar Waqif Hote Teri Bewfayi Se
By : Gagan
Agar jante raah-e-vafa par sath na doge
To hum tere vaado pe aitbaar na
karte
Agar waqif hote teri bewfayi se
To Bhule se bhi tumhe pyaar nahi
karte
Jo Chaand Ko Apna Samajh Baitha
By : Gagan
Galti unki nahi
galti hamari thi
jo chaand ko apna samajh
baitha
main toh ek koyla hoon
jo apne aap ko ek heera samajh
baitha
main uske kabil nahi
ye mujhko samajhna chahiye tha
or ek main
pagal
unhe apni takdeer samajh baitha
Judaai
By : Gagan
ye aansu meri judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai
ye yaad
meri tanhaee ki nahi
tanhaee me bhi tere intezaar ke hai
ye intezaar meri
aankhon ka nahi
raste pe tiki nazron me Aansu ka hai
aur ye aansu meri
judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai
DIL SE KHELNA
By :Gagan
Dil se khelna hame aata nahi
isliye ishq ki baaji ham haar gaye
shayad
meri zindagi se bahut pyaar tha unhe
isliye mujhe zinda hi maar gaye
Hum Jalte Hain Unki Judai Mein
By : Gagan
kis tarah wo juda huye hain
hum nahi keh sakte hain
bas unki hi judai
mein
hum to jalte rehte hain
Behte Huye Paani Ko Rokne Me
By :Gagan
Behte Huye Paani Ko Rokne Me
Ham Khud Beh Gaye
Wo Hamare Ham-Rah
Banenge
Is Ummid Me Ham Tanha Reh Gaye
Par Karte Bhi Kya Ham Iske
Siwa
Unki Chahat Ki Aarzoo Liye
Ham Har Dard Seh Gaye
Khudai
By :Gagan
pyar karke teri bewafaii dekh li
jahan ki dard bhari khudai dekh
li
tujhe pana chaha ye mumkin na tha
tujhse bichhad ke ye judai dekh
li
dard bahut gehra hai saha nahin jata
deke tujhe payar ki duhai dekh
li
tu khamosh khadi rahi mera ashiyan ujad gaya
tu phikar na kar maine
sapne hi sahi
par is duniya se bidai dekh li
Zakhm Bewafai Ke
By :Gagan
zakhm phoolo ke sil gaye hote
rang se jab rang mil gaye hote
tum to
aaye nahi baharo mein
warna kaante bhi khil gaye hote
tum to gairo ki baat
karti ho
humne to apne hi aazmaye hai
tum kaanto se bach ke chalti
ho
humne to phoolo se zakhm khayein hai
Zakhm Ki Aadat
By : Gagan (Views : 666)
Dil ko aadat hai zakhm khane ki
Aakhon ko aadat hai gum chupane ki
Par
ye bhi sach hai ki
Hum ji sakte hai aapke bagair bhi
Hume jarurat nahi
kisi bahane ki
Pyaar Hua Dafan
By : Gagan (Views : 593)
Hum kar denge aapke pyar ko dafan
Aur na hi nasib hoga usko kafan
Har
dukh ko kar lenge sehan
Par nahi rahega aapke pyar ka veham
Bewafai
By : Gagan(Views : 623)
Chaha tha jisko use bhulaya na gaya
zakhm is dil ka logon se chhupaya na
gaya
bewafai ke baad bhi itna pyaar karte hain usse
ki bewafai ka ilzam
bhi us par lagaya na gaya
Gam Kuch Is Tarah
By : Gagan (Views : 529)
Gam kuch is tarah se humpe meherbaan ho gaya
jo karega katal wohi mera
mehmaan ho gaya
marne ke baad aapka deedaar ho shayad
bas isiliye marne ka
armaan ho gaya
Gam Na Kar
By : Gagan (Views : 862)
gam na kar is duniya se
na koi kisika hai
daga wahi deta hai
hame
jis pe bharosa hai
Dil Tod Diya
By : Gagan (Views : 1179)
Kyun Kiye Sab Waade Jab Chhod Ke Jaana Hi Tha
Kyun Dikhaye Sapne Jab Tod
Ke Jaana Hi Tha
Kyun Jagaayi Mere Dil Me Itani Mohbbat
Jab Iss Dil Ko Tod
Ke Jaana Hi Tha
Wo Shakhs Nahi Milta
By :Gagan (Views : 1009)
Kalam uthai hai lafz nahi milta
jise dhoond rahe wo shaksh nahi
milta
firte hai wo jamane ke sath
bas hamare liye hi unko wakt nahi
milta
Aitbar
By : Gagan (Views : 1374)
Meri mohobat par aitbaar to kiya hota
Kisi aur ke hone se pehle mera
intezar to kiya hota
Ulfat bhari nazron se ek bar dekha to hota
Mere
zakhmo par kabhi ek bar marham to lagaya hota
Bewafa hume kehne se
pehle
Ek bar azma-e-wafa to kiya hota
Sab kuch bhool kar har rishta tod
kar
Ek bar tahe dil se mere dil per hath to rakha hota
Bewafa kehne se
pehle
Aahed-e-wafa to kiya hota
Dil-e-nash-e-mann mein jo aag lagayi thi
tumne
Ek bar use bhjhaya to hota
Din Gujarte Rehte Hai
By : Gagan (Views : 942)
Teri nigah ke jaadu bikharte rehte hai
Jo jakhm dil ko mile the wo bharte
rehte hai
Tere bina wo din bhi gujar gaya aakhir
Tere bina ye din bhi
gujarte rehte hai
Kasam Na Do
By : Gagan (Views : 849)
Shola tha par ab jal bujha hoon
Ab mujhe hawanyein na do
Main kab ka ja
chuka hoon aawaj mujhe na do
Zehar wo pe chuka hoon jo tumhi ne mujhe
diya
Ab zindgi ki duayein mujhe na do
Ye bhi karam hai slaamat hai jism
abhi
Ab khuda ko isme jaan dalne ki kasam na do
Sambhal Gayi
By : Gagan (Views : 528)
Sham-e-firaq ab na pooch
aayi aur aake dhal gayi
Dil tha ki phir behal
gaya
jaan thi ki phir sambhal gayi
Buzm-e-khayal me tere husn ki shamma
jal gayi
Dard ka chand bujh gaya
hijar ki raat dhal gayi
Jub tujhe yaad
kar liya
subha mehak mehak uthi
Jub tera gham jaga liya
raat machal
machal gayi
Dilse to har mamla
kar ke chale the saf hum
kehne me unke
samne
baat badal-badal gayi
Takrar
By : Gagan (Views : 424)
Unko gairo se asnai hai
Or humse to khaffa khudai hai
Jab-jab dekha hai
chand ko maine
Unki reh reh kar yaad aayi hai
Unse bichhad kar ye jana
humne
Kya cheez ye judai hai
Hoke majboor dil ke haatho
Hasraton ki
chita jalayi hai
O ruth ke jane wale bata to sahi
Aaj hum me kya burai
hai!
Tujhe Fikar Nahi
By : Gagan (Views : 545)
Zalim tere zulam ki koi hadd nahi
tujhe mazloom ki koi fikar nahi
koi
jiye ya mare tere liye
tujhe iss ki koi fikar nahi
PYAAR KAR KE
By : Gagan (Views : 1091)
PYAAR KAR KE BHULANA NA AYA HUME
KISI KE DIL KO MANANA NA AYA HUME
KISI
SE TADAPNA TO SEEKH LIYA
PAR KISI KO TADPANA NA AYA HUME
APNO NE ZEHER KA JAAM DIYA
By : Gagan (Views : 696)
APNO NE ZEHER KA JAAM DE DIYA
GHAIRO NAY BEWAFA KA NAAM DE DIYA
WOH JO
KEHTE THE KI BHOOL NA JANA HUMEIN
AAJ UNHONE HI BHARI MEHFIL MEIN ANJAAN KEH
DIYA
ZAKHM JAB MERE SEENE SE
By : Gagan (Views : 494)
ZAKHAM JAB MERE SEENE KE BAHAR JAYENGE
AANSU BHI MOTI BANKAR BIKHAR
JAYENGE
YE MAT PUCHHNA KI KIS NE DARD DIYA
WARNA KUCHH APNO KE CHEHRE BHI
UTAR JAYENGE
Bepanah Ishq
By : Gagan (Views : 388)
Bepanah mohabbat ki khwaish thi kabhi
Ab to ishq naame se roothi kismat
rubaru aati hai
Apne palkon pe sajaye they kuch sapne tere
ke un sapno se
ab bagawat ki khushboo aati hai
Aansuo Ka Saudagar
By : Gagan(Views : 552)
Raah me mila tha ek aansuo ka saudagar
Aur bahut khush hua tha main do
boond ansu pa kar
Baad me pata chala aansuo me milawat thi
Aankho me ansu
the par dil me muskurahat thi
Maine us se kaha apne do boond aansu le
lo
Meri muskurahato ka kuch aaj sila de do
Aawaz aayi yaha biki hui cheez
wapas nahi hoti
Aansuo ke badle kabhi muskurahat nahi milti
AYE DIL
By :Gagan (Views : 477)
AYE DIL UNKI YAAD MEIN RONA FUZUL HAI
AANSU ANMOL HAIN INKO KHONA FUZUL
HAI
ROTE UNKE LIYE HAI JO TUM PER NISAR HAI
USKE LIYE KYA RONA JISKE
AASHIQ HAZAAR HAI
Sapno Ki Tarah
By :Gagan(Views : 539)
Sapno Ki Tarah Aakar Chale Gaye
Aapno Ko Bhulakar Chale Gaye
Kis Bhul
Ki Saza Di Unhone Humein
Pehle Hasaya Phir Rulakar Chale Gaye
Khamoshi
By : Gagan (Views : 468)
Jab koi khayal dil me ata hai
dil na chah kar bhi khamosh reh jata
hai
koi sab kuch keh kar pyaar ko jatata hai
to koi kuch na keh kar pyaar
ko nibhata hai
Dil Ke Dard
By : Gagan(Views : 927)
Tute Dil Ke Tukade Dikhaye Kaise
Ankhon Ke Aansu Chhupaye Kaise
Aapne
Jo Diye Hain Humein
Is Dil Ke Dard Bataye Kaise
Dil Ke Tukade
By : Gagan (Views : 583)
Palko Se Girte Aansu Ruk Jate To Accha Tha
Tum Haumein Yaad Na Aate To
Accha Tha
Tute Dil Ki Fariyad Kare Bhi To Kis se
Dil Hi Badal Jate To
Accha Tha
Unki Yaad
By : Gagan (Views : 760)
Yaad Aye Jo Kabhi Unki, Yaad Na Karna
Milne Ki Kabhi Unse Fariyaad Na
Karna
Log To Yun Hi Daga Diya Karte Hain
Unke Liye Apni Zindagi Barbad Na
Karna
Bewafaii
By : Gagan (Views : 559)
Teri Wafa Ke Saath Hum Tanha Zindagi Gujar Lete
Par Ek Pal Na Reh Paye
Teri Bewafaii Ke Saath
To Chala Aau Main
By : Gagan (Views : 504)
Khayalo se chhu lo to chala aau main
Muhabbat se keh do to chala aau
main
Na samajh mujhko waqt ki tarah
Gar pukar dil se to chala aau
main
Jis khushi ne tumko rukhsat kiya
Tu kahe agar to bula lau
main
Humne apni jaan se jyada chaha jise
Vo khafa ho jaye to kaha jau
main
Dil Ke Armaano Ko Dil Me Chhupa Rakha Hai
By : Gagan
(Views : 483)
Kitne armano ko dil me chupa rakha hai
Chirago ki hifajat ko hawao ko bula
rakha hai
kaash vo aake kahe hum bhi yaad karte hai tumhe
Ik isi aas pe
darwajo ko khula rakha hai
Nind bhi aa jaye to jee bhar ke dekh lu
kitne
dino se apni palko ko khula rakha hai
Is dard se ab to muhabbat si ho gai
hai
sadiyo se humne apne jhakhmo ko hara rakha hai
Mere jaane ke baad ghut
ghut ke mar na jaye dil
Is liye teri yaad ko seene se laga rakha hai
Ek Bewafa Se Wafa
By : Gagan (Views : 526)
Ik bewafa se jaane kyo wafa kar raha hu main
Uski ibadat kar ke khuda ko
khafa kar raha hu main
Ek baar me maut gawara nahi mujhe
Kishto me
khudkashi kar raha hu main
Kab tak rahunga kaid me ab to rihai de de
Khud
apni ruh ko jism se juda kar raha hu main
Jhakhm mere dil ke ab nasur ho gaye
hai
Nashtar laga ke dil pe dawa kar raha hu main
GHAM-E-BEWAFAI
By : Gagan (Views : 827)
HAR GHAM KO HASSIN KHWAB SAMAJH KE JI LETE HAI
HAR SHAKHS KO BAS AAP
SAMAJH KE JI LETE HAI
HAME GHAM NAHI KISI KI BEWAFAI KA
HAR BHARI JAM KO
BAS AAB SAMAJH KE PEE LETE HAI
Bewafa Ka Naam
By : Gagan (Views : 641)
Ishq mohbbat ki koi fraiyaad mat karna
pyar karke kisiko barbaad mat
karna
wafa ki umeed nahi thi tumse par
kisiko bewafai ka naam dekar
badnaam mat karna
Mere Pyar Ko
By : Gagan (Views : 990)
mere pyar ko usne mazak samjha
mere aansuon ko usne barsaat samjha
jab
nikla mera janaza uski gali ke bahar se
toh bewafaa ne usse bhi baraat
samjha
JAB DIL TOOTE
By : Gagan (Views : 965)
KABHI KISI SE ZIKR-E-JUDAI MAT KARNA
IS DOST SE KABHI RUSVAI MAT
KARNA
JAB DIL TOOT JAYE HAMARI DOSTI SE TO BATA DENA
BIN BATAYE BEWAFAI
MAT KARNA
Koi Khawab In Ankho
By :Gagan(Views : 723)
Koi khawab in ankho mein sajaya hi nahi
Hamare dil ki gehrai ko koi samajh
paya hi nahi
Kisi ko hamari kami mehsoos ho
Khuda ne hume aisa banaya hi
nahi
TUMHARI YAAD
By : Gagan(Views : 896)
TUMHARI YAAD NE DIL KO BECHAIN RAAT BHAR RAKKHA
KABHI TAKIA IDHAR RAKKHA
KABHI TAKIA UDHAR RAKKHA
Mila Woh Bhi Nahi Karte
By :Gagan (Views : 945)
Mila wo bhi nahi karte, mila hum bhi nahi karte
Bewafai wo bhi nahi karte,
bewafai hum bhi nahi karte
Unhe ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh
hai
gila wo bhi nahi karte, gila hum bhi nahi karte
Gali ke kisi mod pe
aksar takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi karte, ruka hum bhi nahi
karte
Unhe jab dekhte hain sochte hain kuch kahein un se
suna wo bhi nahi
karte, kaha hum bhi nahi karte
Hume wo dekhte hain, unhe hum dekhte
hain
raha wo bhi nahi karte, raha hum bhi nahi karte
Saath Unka
By : Gagan(Views : 699)
humne maanga tha saath unka
wo judai ka gum de gaye
hum yaadon ke
sahare jee lete
wo bhool jane ki kasam de gaye
SAATHI MERE
By : Gagan(Views : 809)
HUM NE KIYA AAP PAR BHAROSA
NAA KUCH SOCHA AUR AAGE
HO GAYE DILSE SIRF
AAP KE
PHIR KAISA YEH TOOFAN AAYA
BAHA LE GAYA AAPKA PYAR SAARA
REH
GAYE HUM AKELE
NAA SAATHI RAHA NAA SAHARA
Sham Ke Pichhle Pehar
By : Gagan (Views : 510)
Sham ke pichhle pehar kuch yaadein meri mehman bani
meri barasti ankhe
jazbat ki tarjman bani
uss ke jane ke bad dukh huye mujhse aashna
har
khushi meri zaat se anjan bani
Yaadon Ke Zard Pattein
By : Gagan (Views : 400)
pyar ke tanha raston par gire hue yadoon ke zard paton ko nafrton ki andhiya
uda le jati hain.
socho ke samander mein uthnay wali maujein apne raste mein
ane wali sab umeedon ko baha le jati hain.
na umeedi ki kali gaathaon mein
mayusiyon ke andehron mein ek bhi chiragh roshan nahi har bar hawa mere ghar ka
deep bujha jati hai
Sapnon Ka Safar
By :Gagan (Views : 749)
SAPNO ME KIYA GAYA SAFAR HAM DURI MAAN CHUKE
PAIDA KI GAYI ZAROORATH HAM
MAJBURI MAANCHUKE
YE DUNIYA TERI YAADON SE BHARI HAI TO KYA HUA
ANKHE BANDH KAR KE TERI GALI
KO ANDHERI MAAN CHUKE
DHADKAN AUR SAANS KA CHALA GAYA EHSAAS
AB TO APNE AAP KI BAAT BHI ADHURI
MAAN CHUKE
HAKEEKAT KYA HAI KOYI HAME NA SAMJHANA
HAM DUNIYA KI BAATON KO LORI MAAN
CHUKE
Dard-e-Zindagi
By : Gagan(Views : 829)
Dard se dosti ho gai yaaro
Zindagi be-dard ho gai yaaro
kya huya jo jal
gaye arman hamare
duur tak roshini ho gayi yaaro
Kuch Dhaaye Sitam
By : Gagan (Views : 977)
Kuch Dhaaye Sitam
Duniya Ne Sanam
Di Par Lage Kuch Aise
Zakham
Ankhon Ke Ansoo Khushk Huye
Palko Pe Aakar
Teri Kasam Ab Ro Ro
Ke
Dil Kehta Hai
Phir Lenge Janam
Zamana Kuch Bhi Kahe
By : Gagan (Views : 856)
Zamana Kuch Bhi Kahe Uska Ahteraam Na Kar
Jise Zameer Na Mane Usse Salaam
na Kar
Sharab Peekar Behakna Hai Agar To Na Pee
Halal Cheez Ko Is tarha Se
Haram Na Kar
Yeh Ada Hai
By : Gagan (Views : 731)
Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi
Meri Humsafar, Meri Zindagi
Main Yeh Sochta
Hoon Ke khuda Kare
Tujhe Zindagi Me Woh Sukh Mile
Jo Mujhe Zindagi Me
Kabhi Mila Nahi
Aaja Andheri Raate
By : Gagan (Views : 556)
Aaja Andheri Raate
Tanha Bita Chuka Hoon
Shama Jaha Na Jalti
Ankhen
Jala Chuka Hoon
Tum Aaoge Kisi Din
Isi Intizaar Me
Najane Kitni
Hasrate
Mita Chuka Hoon
Yeh Chand Aahein
By : Gagan (Views : 532)
Yeh Chand Aahein
Yeh Chand Aansoo
Siwa-e-Inke Bacha Hi Kya
Hai
Zamana Kya Chheen Lega Humse
Kisine Humko Diya Hi Kya Hai
Yeh Dua Hai
By : Gagan(Views : 678)
Yeh Dua Hai Aatishe Ishq Me
Ke Tu Meri Tarah se Jala Kare
Na Naseeb Me
Sharbat-e-Vasal Ho
Sada Zeher-e-Gham Tu Piya Kare
Tere Samne Tera Ghar
Jale
Tera Bas Chale, Tu Bacha Na Sake
Na khuda Dikhaye Tujhe
Khushi
Aaye Khair Se Woh Bhi Din
Tujhe Chain Na Aaye Mere Bin
Na Lagao
Main Tujhe Gale
Minnate Tu Meri Kiya Kare
Mila Nahi Karte
By : Gagan(Views : 587)
Karam Karo Chahe Sitam Karo
Hum Gila Nahi Karte
Khaza Me Phool Kabhi
Khila Nahi Karte
Tum Hume Bhool Jao Lekin Yeh Yaad Rakna
Hum Jaise Log
Kabhi Mila Nahi Karte
Nazar Aate Hai
By : Gagan(Views : 725)
Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hai
Inme Kuch Saheb-e-Israr Nazar
Aate Hai
Teri Mehfil Ka Bharam Rakte Hai So Jate Hai
Warna Yeh Log To
Bezaar Nazar Aate Hai
Mere Daman Me Kaanto Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap To
Phoolo Ke Khareedar Nazar Aate Hai
Kal Tak Jinhe Chhoo Nahi Sakti Thi
Farishto Ki Nazar
Aaj Woh Ronak-e-Bazaar Nazar Aate Hai
Main Darta Hoon
Qayamat Me Kaun Gawahi Meri De
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Ate Hai
Yuhi Khushi Karli
By : Gagan(Views : 565)
Aaj Humne Yuhi Khushi Karli
Dil Jalake Roshini Karli
Doob Kar Teri
Neeli Ankhon Me
Khaak Humne To Zindagi Karli
Aate Jate Raha Karo
Saheb
Kyu Aane Jane Me Kami Karli
Ek Bas Teri Dosti Ke Liye
Saari
Duniya Se Dushmani Karli
Dil Ko Patthar Bana Liya Humne
By :Gagan (Views :
811)
jaise bhi hoga hum jee lenge
tum humein chhodd kar chale jaao
koi marta
nahin kisi ke liye
har kasam tod kar chale jaao
kucch na socho hamare
baare me
dil ko patthar bana liya humne
sochte hai yehi phir se
aaj
tumse dil kyon laga liya humne
Tamaache
By : GaganViews : 643)
Hum apni ulfaton me aise kho gaye
Manzil to hai nazar me par raaste kho
gaye
Usne diye tamaache tohfe me ek se ek
Wada-e-wafa nibhane hum dar pe
uske jo gaye
Ab Wo Hume Pehchaante Nahi
By : Gagan (Views : 707)
Kya kaat liye chaar din pardes me
ab wo hume apna purana aashiq bhi
samajhte nahi
Dushman saamne se guzarta hai to salam karte hai
wo aise
guzarte hai jaise jaante nahi
Magar gum nahi karta main kyunki ye dastoor hai
duniya ka
Yahan to apne bhi apno ko pehchaantae nahi
Dard Mein Bhi Pyari Muskaan
By : Gagan (Views : 936)
Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Abhi Waffa karta hoon
Aap Ne ki
Bewaffai
Magar Main Abhi Waffa karta hoon
kahi Aankon mein na aajaye
aansu
isliye Muskurate rehata hoon
Doonhte Hai
By : Gagan (Views : 980)
Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte
hain
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane
dhoondhte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj hue se diwane
dhundhte hain
Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me
maykhane dhoondhte hain
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye
zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain
nikal aate hain ashq hanste
hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain
AAS
By : Gagan (Views : 919)
Yeh pyaas hi toh hai
milne ki aas hi toh hai
koi paas se dekh leta hai
chand ko
magar chakori ko chand ki aas hi toh hai
Chandini Raat
By : Gagan (Views : 770)
Chandini rato me sara jahan sota hai
Lekin kisi ki mohabbat me koi bad
naseeb rota hai
Khuda, kisi ko mohobbat me fida na kare
Agar kare to
qyamat tak juda na kare
JAKHM RUAH PAR
By : Gagan (Views : 987)
JAKHM RUH PAR DEKAR MERE,
VO MARHAM JISM PAR LAGANE KO KEHTE HAI,
OR VO
JO THE KAATIL MERE,
MUJHE INSAAF DILAANE KO KEHTE HAI,
KRTA BHI TOH KAISE
YAKI,
MAIN USKI BAATON PAR YAARON,
VO JO TOAD DETI HAE HAR VAADA,
JO VO
NIBHAANE KO KEHTI HAI,
TAB KAHI JAAKE SAAF HUE NAZROAN ME SHAKSIYAT
USKI,
JAB VO MUJHE MERA ISHQ BHUL JAANE KO KEHTI HAI
Pyaase Ko
By : Gagan (Views : 3513)
Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai
Ishq Me Chaar Pal Ki Zindagi Kafi
Hai
Dubne Ko Samandar Me Jaye Kaha
Aapki Aankhon Se Tapka Vo Pani Kafi
Hai
Dil Milaakar
By : Gagan(Views : 2900)
Dil milaakar kyaa mila
Judaai ka zehar piya
Judaa hokar mujhse
tadapte ho tum bhi
mere piyaa
BHOOL NA JANA
By : Gagan(Views : 3741)
hum ko bhool na jana tum
yeh kehte hain sab hi
lekin aata hai waqt
kuchh aisa
ke bhool jaate hain khud hi
Bewfai
By : Gagan (Views : 3266)
ARE LOG KEHATE HAI BAJA, WO TO MAI BHI BAJA SAKTA THA MAGAR MERI SAJ BEWAFA NIKLI, GANA ARE GANA KYA HAI WO TO MAI BHI GA SAKTA THA MAGAR MERI AWAJ BEWAFA NIKLI, ARE WO TAJ MAHAL KYA HAI WO TO MAI BHI BANWA SAKTA THA MAGAR MERI MUMTAJ HI BEWAFA NIKLI
Jee Bhar Ke Roye
By : Gagan (Views : 1785)
Jee bhar ke roye to karar paaya
is daur me kisne saacha dost
paaya
guzar rahi hai zindagi imtihano ke daur me
ek zakham bhara nahi ke
dausra tayaar paaya
Patthar Ki Duniya
By : Gagan(Views : 1414)
patthar ki duniya hai jazbaat nahi samajhti
dil me kya hai wo baat nahi
samajhti
tahna to chaand bhi hai sitaro ke beech
chaand ka dard bewafa
raat nahi samajhti
Wo Mujhe Mil Na Saki
By : Gagan (Views : 1338)
Kasak dil ki dil me dabi reh gayi
zindagi mein unki kami reh gayi
itni
ulfat ke baad bhi wo mujhe mil na saki
shayad meri mohabbat mein koi kami reh
gayi
Sazaa Kbul Ki Humne
By : Gagan Kalsey (Views :
1120)
Jab zindagi samajh me aayi
to zindagi se door the hum
marna chahha par
jeene ko majbur the hum
har sazaa kbul ki humne, sar jukha kar
kasur itna
tha ke bekasur the hum